Shayaris from friends

Some Shayaris!!!

Palbhar mein tut jaye who kassam nahi,
Dosti mein bhool jaye woh hum nahi,
Tum bewafa bano is baat mein dum nahi,
Kyuki hamari wafa bhi kuch kum nahi.

Main deewaani hun tere nam ki
is baat se inkar nahi,
kaise kahe ki hame aapse pyar nahi,
kuch to kasoor hai aapki nazro ka,
hum akele to gunhegar nahi.

Aankhon ki zubhan wo samajh nahi pate,
Hoth magar kuch keh nahi pate,
Apni bebasi kis tarah kahe,
Koi hai jiske bina hum reh nahi pate.

Tapat Sooraj mein hoti hain
Tadapna sabko padta hain
kasoor aankhon ka hota hai
Tadapna dil ko padta hai.

Tum mujhe bhul na paoge,
Is kadar hum tumhe yaad aayenge...
Yakeen na aaye to aaine me dekhna,
Teri aankhon me hum nazar aayenge....

Zikar hua jab Khuda ki rehmaton ka,
Hamne khud ko khushnaseeb paya....
Tamanna thi ek pyare se dost ki,
Khuda khud dost bankar chala aaya....

Mehfil na hoti, nazare na hote,
yun chand ke pehlu mein sitare na hote.
Hum isliye karte hai apki parvah
kyonki dil ke karib sare nahi hote..!

Waqt guzarta raha par sanse thami si thi,
muskura rahe the hum, par ankho mein namisi thi,
sath hamare ye jahan tha sara,
par na jane kyun kisi ki kami si thi....

Duniya jise neend kehti hai,
Jaane woh kya cheez hoti hai....
Aankhe to hum bhi band karte hain,
Par woh unse milne ki tarkeeb hoti hai...

Tumsa koi doosra zameen par hua,
Toh Rab se shikayat hogi....
Ek toh jhella nahi jaata,
Doosra aa gaya to kya halat hogi!!!

Bekhudi Ki Zindagi Hum Jiya Nahi Karte,
Yun kisika ka Jaam Hum Piya Nahi Karte.
Unse Kehdo Mohabbat Ka Izhaar Aakar Khud Karein,
Yun Kisika Peecha Hum Nahin Kartea

EK SHABD ME KYA TARIF KARU AAPKI,
AAP SHABDDO ME KAHA SAMA PAOGE ,
BAS INTA JAANLO K JAB B BAAT CHALEGI DOSTI KI,
MERI ANKHO ME AAP HI NAZAR AAOGE

Aapko Lagta Hai Ke Hume Aapko Bhula Rakha Hai
Aap Nahi Jaante Dil Mein Kahi Chupa Rakha Hai
Dekh Na Le In Aankhon Me Aapko Koi
Isliye Palko Ko Bhi Chupa Rakha Hai

Ye aaine se akele main guftagu kya hai
jo main nahin to phir ye tere rubaru kya hai
isi omeed pe kaati hai zindagi main ne
woh kaash puchte mujh se ke aarzo kya hai

Is dil say tere yaad bhulai nahin jati
Yeh pyar ki daulat hai lutai nahin jati
Is dil say kesay tumhain bhulaoun main
Har roz toh yeh duniya basai nahin jati

Har pal ne kaha ek pal se,
Pal bhar ke liye aap mere samne aa jao,
Pal bhar ka saath kuch aisa ho,
Ki har pal tum hi yaad aao....

Nazar to mila sake,
Per zaban ko hila na sake,
Laakh chaha humne,
Phir bhi tum ko bhula na sake....

Ishq Ne Insan Ko Kya Se Kya Bana Diya ,
Kisiko Kavi To Kisiko Kangal Bana Diya,
Do Fulo Ka Boj Na Uthane Vaali Mumtaj
Ki Yaad Main Shahjaha Ne Taaj Mahel Bana Diya.

Har nazar ko ek nazar ki talash Hai ,
Har dil mein chupa ek ehsaas hai,
Aap se pyaar yuhi nahi ki humnein,
Kya kare hamari pasand hi kuch khaas hai.

Love is not something that happens on first sight,
It happens when you start knowing each other,
And it turn ending up needing each other,
For every feeling,for every thought and for every moment.

Agar jindagi mein judai na hoti,
Toh kabhi kisi ki yaad aati na hoti,
Sath gujara hota har lamha,
Toh sayad risto mein itani gahrai na hoti.

Barish ke paani ko apne haathon mein samet lo.
Jitna aap samet paaye utna aap humein chahte hai
Aur jitna na samet paye utna hum aap ko chahte hai.

Dil ki nazuk dhadkano ko
Mere sanam tumne dhadkana sikha diya
Jab se mila hai tera pyaar dil ko
Gham main bhi muskurana sikha diya.

Na to yaado ko yaad rakhte hai
Na hi sapno ko saath rakhte hai
Hum to buss unko yaad rakte hai
Jo hamein dil ke pass rakhte hai.

Dil ki nazuk dhadkano ko
Mere sanam tumne dhadkana sikha diya
Jab se mila hai tera pyaar dil ko
Gham ne bhi muskurana sikha diya.

Haste rahen aap hazaron ke beech mein,
Jaise haste hein phool baharon ke beech mein,
Roshan ho aap duniya mein iss tarah,
Jaise hota hai chand sitaron ke beech mein.

Kabhi hasata hai pyaar,
Kabhi rulata hai pyaar,
Har pal ki yaad dilata hai yeh pyaar,
Chaho ya na chaho,
Par aapke hone ka ehsaas dilata hai yeh pyaar.

Apne dard-E-dil ka hamdard hame hi paaogey,
In tanhaiyon mein saath hame hi paaogey,
Door hain tum say to kya huwa,
In dooriyon mein sabse kareeb hame hi paaogey.

Aakhen kholu to chehra tumhara ho,
Band karu to sapna tumhara ho,
Maar bhi jau to koi gam nahi,
Agar kafan ke badle achal tumhara ho

Tum khafa hogaye to koi khushi na rahegi,
Tere bina chirago mein roshni na rahegi,
Kya kahe kya guzregi dil par,
Zinda to rahenge par zindagi na rahegi.

Mohabbat tau aik majboori hai
abhi tuk hum dono kay beech kyun itni doori hai
isi liye yeh abhi bhi adhoori hai
yehi meri aik choti si love story hai

Some of the Inspiring Quotes which tell not to give up in life so you can learn something from these Quotes!!!!

1) Never expect things to happen.. struggle and make them happen. never expect yourself to be given a good value create a value of your own

2) If a drop of water falls in lake there is no identity. But if it falls on a leaf of lotus it shine like a pearl.so choose the best place where you would shine..

3) Falling down is not defeat... defeat is when your refuse to get up...

4) Sh ip is always safe at shore... but is is not built for it

5) When your successful your well wishers know who you are when you are unsuccessful you know who your well wishers are

6) It is great confidence in a friend to tell him your faults; greater to tell him/her

7) "To the world you might be one person, but to one person you just might be the world

8) "Even the word 'IMPOSSIBLE' says 'I M POSSIBLE' "

9) Effort is important, but knowing where to make an effort in your life makes all the difference.

May ALLAH / God Bless You All,

Never take some one for granted,Hold every person Close to your Heart because you might wake up one day and realise that you have lost a diamond while you were too busy collecting stones."

Remember this always in life.

This was posted by myself Kunal Shah, India

Bebas kar diya tere chehre ne,
Ki ab tho chaand bhi kabool nahin.
Tadap uthnege teri har faaslon par,
Bin tere ab koi din humein maqbool nahin.

Ae nazneen, ab tujhe kaise aitbaar dilaoon,
Magar meri fitrat mein bewafaai nahin.
Teri khamoshi se kabhi justuju kara de,
Kasam se...Tujhe chod fir koi aur khwaish nahin.

Kitni bhi rooth jaayein yeh zamaana,
Teri narazgi humein manzoor nahin.
Tujhe manane har-had par karenge,
Magar tera ek aanso bhi humein gawara nahin.

Aao saath me duniya ko bant le, *
*Samundar aapka lehre hamari. *
*Aasman aapka sitare hamare, *
*Suraj aapka roshni hamari. *
*Chalo aisa kare Sub kuch aapka *
*aur aap hamare. *

*Ashiq pagal ho jate hai pyar me, *
*baki kasr puri ho jati hai intezar me. *
*Magar ye dilruba nahi samajti, *
*golgape khati firti hai baazar me. *

*PHOOL Khil Kar UDAS Hai, *
*SAMANDAR Ko Aaj Pani Ki Pyas Hai. *
*EK Bar Aap MUSKURA Do, *
*Kyunki KHUDA Ko DUNIYA Ki *
*SABSE 'KHUBSURAT' HASI Ki TALASH HAI. *

*Kbhi sochte h ek GULAB bhej de, *
*Kbhi chahte h pura BAAG bhej de. *
*Jja Rhe ho agar Aap sone ko to Dil krta hai *
*Apki PALKO me ek PYARA SA KHWAB bhej de. *
*Gud Nite*
*Mithi-2 yaado ko palko me saja lena, *
*saath gujre palo ko dil me basa lena. *
*Najar na aye hum hakikat me agar, *
*to muskruake hame sapno me bula lena. *
Asman ko neend aye to sulaau kahan,dharti ko maut aye to dafnao kahan, Sagar men lehar aye to chupao kahan,jab teri yaad aye to jau kahan!!!

Kitna bebas he insan kismat ke aage,Kitne dur he sapne hakikat ke aage,Koi ruki hui dhadkan se puchhe, Kitna tadpta hai dil MOHABBAT ke aage.

Who raate kuchha or hogi.Who baate kuchha or hogi.Unke aane ke bad who mulakaten kuchha or hogi.

Jo teer bhi atahe khali nahi jata mayush mere Dar se savali nahi jata kantehi kiya karte he phoolo ki hifazat . Phoolo ko bachane Mali nahi jata.

Aankho ko aankho ka pata na hota agar..!Dil ko dard ka ehsaas na hota agar..!Kitna hasin hota zindagi ka ye safar..! Milkar yun bichhadna na hota .

Jåän häi mujkò zindgi se pyari, jaan ke liye kar du kurban yari, jaan ke liye tod do dosti tumari, Ab tumse kya chhupana dost, Tum hi to ho JAAN hamari.

BAHOT RONA PADA HAME APKO HASANE KE VASTE. HUM KHUD HI JAL GAYE EK CHIRAG JALANE KE VASTE.,

Sham ki tanhai me kho na jana, Kisi ki masti me doob na jana,Milegi zarur kal manzil tumhe,Apni manzil ko pa kar ko bhul na jana.

Zulfon KoF_IL_ K_r,J_b KoiMehboob_..K_b_r P_rRoti H_I,T_b MehshoosHot_ H_I Ke..Mout Bhi....Kitni H_seenHoti H_I.

...Aänkho ki Awääz kuch Aur hoti häi,sänso ki Aäg kuch Aur hoti hai,...kaun chahta hai,Apnose bichadana majburi yo ki baat kuch aur hoti häi...

Sabhi Nagme Saaz me Gaye nahi Jaate,sabhi log Mahafil me Bulaye nahi jaate,Kuch Paas Raha ker bhi Yaad nahi Aate, kuch dur raha ker bhi Bhulaye nahi jaate.....

Jan me ROSEFeb me PROPOSEMarch me GIFTApril me LIFTMay meCHATINGJune me DATINGJuly me MIS U Aug meKIS U Sep me ANGER Oct me DANGER Nov me LEFT Dec me NEXT

Har bat se inkar nahi hota Har raste par intazar nahi hota you to najar milti hai sabse lekin har chahere se pyar nahi hota..!

Dil tod diya mera, chita bhi jala dena, kafan na mile to duppata odha dena, koi puche ke rog kya tha, to NAZAR JUKA KAR MOHABBAT BATA DENA,!

Dard gairo ko sunane ki jarurat kya he, Apne sath auro ko rulane ki jarurat kya he, Waqt yuhi kam he mohabat ke liye, ruthkar Waqt gawane ki jarurat Ana tha.!

Sirf yaadon ka silsila reh gaya,khuda Jane unse hamara kya rishta reh gaya,ek chand chup gaya Jane kahan,ek sitara use dhundta reh gaya

Sapne to sirf sapne hote hai,apne to phir bhi apne hote hai,tum chaho to sapno ko apna banao,magar apno ko kabhi sapna mat banao...!

DOSTI KE NAM PE DIWANE CHALE AATE HAI.SHAMA KE PICHE PARWANE CHALE AATE HAI. TUMHE YAAD NA AAYEE KHAIR.Aana meri MAUT PAR. Us DIN TO BEGANE BHI CHALE AATana tha.!

Gam me hasne valoko kabhi rulaya nahi jata, Lehro se pani ko kabhi hataya nahi jata, hone vale ho jate he khud hi dil se apne , Kisiko kehkar apna baE HAI..,

Zamana gujar gaya hatho ko milaye huye. Muddat ho gayi nazaro ko milaye huye. Din.Rat nikal gaye yado me khoye huve.Ab kab samne aaoge yaar muskurte huye.?

mat karo koi wada jise tum nibha na sako, mat chaho use jise tum pa na sako, pyar kahan kisi ka poora hota hai, iska to pehla shabd hi adhoora hota hai.........

dard se dosti ho gayi yaarojindgi be-dard ho gayi yaarokya huaa jo jal gaya aashiyana hamaradur tak roshni to ho gayi yaaro...........

This post is written by Sunita, Mumbai, India